Loss of unveiling
zina ki bohut bari wajah bey parda mahol hai. Tamam mahireen iss baat per muttafiq hain kay aurat ki sab sey bari zeenat uska chehra hai aur Islam mein zeenat ko chupaney ka hukum hai. Koi maney na maney Islam mein pardah farz hai. Jin mu'aashiron mein jitni zyada bey pardagi hai wahan utni hi zyada jinsi beyrahrawi (sexual perversion) hai. Mahireen e nafsiyat iss baat per bhi muttafiq hain kay mard basarat sey jinsi tor per mushta'el hota hai. Yani mard kay jinsi jazbaat aurat ko dekh kar mushta'el hotey hain jab kay aurtein amooman bazarya basarat jinsi tor per mushta'el nahin hotiin. Isliye Islam mein aurat ko pardey ka hukum diya gaya hai na kay mard ko. Waisey mardo'n ko nigaahein jhukaney ka hukum hai. Pakistan kay ek bohut barey girls college kay barey mein ma'aroof hai kay iss idaarey ki kam az kam 60% bachiyan ba asmat nahin rehtiin. Iss idarey ki taqreeban sab bachiyan bey parda hain. Darasal bey pardagi mein mard o khawateen kay milney kay mawaqae zyada ho jatey hain jis sey zina kay mawaqae bhi zyada paeda ho jatey hain. Pardey daar khatoon sey koi mard milney ya guftugoo karney ki koshish nahin karta.-
Makhloot talim bhi zina ka ek ahem sabab hai. Makhloot talim mein naujawan larkey aur larkiyon ko milney kay mawaqae zyada miltey hain. Larkey, larkiyon ko flirt kartey hain aur larkiyan ishq aur shadi kay laluch mein apni esmat ga'nwa bethti hain.
-
Makhloot majalis jinsi beyrahrawi ka ek bara zarya hai. America kay woh elaqey maslan California jahan aurat aur mard kay milney kay zyada mawaqae hain wahan jinsi beyrahrawi zyada hai aur talaq ki sharah bhi baqi mulk kay muqabley mein zyada hai.
ups battery solar panel video song islamic bayan latest news fashion and beauty english urdu columns poetry pictures tutorials and much more
Sunday, February 21, 2016
Loss of unveiling be pardagi ka nuqsan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment